Top 4 Money Transfer Android app in India

            Top 4 Money Transfer Android app in India

Hello Friends, This is Hitechplus Aaj main apko batane wla hoon india mein use hone  wale top 5 Money Transfer Android app jii haan doston Top 5 Money Transfer Android app in India. Aaj kii  jo  generation hai  wo fully digital hai. Aaj kal jo paise ka len den hai wo pura digital ho gaya hai. agar apke pass smartphone ho to apke liye bahut assan ho jayegaa. Kyunki aaj kal aise android app hai jo ki paisa transfer karna ek account se dusre account mein bahut hi assan kar diya hai. Aur in android app khaas baat ye hai kii ye aapko paise transfer karne ke baad apko kuch ache offers aur cashback bhi milta hai. Paise transfer karna ke alwa aap  bill payment, mobille recharge, DTH  recharge, shopping, online shoping karne kii bhi suvidha dete hai To aise mein paise ke lein den karna humare liye fayde mand hai.Too aaj kii is post mein hum apko batane wale hai kii Top 5 Money Transfer Android app in India jahan humne chuna hai 5 aise apps ko jo apko Bank to Banks money transfer ki bhi suvidha deta hai.. To chaliye Shuru karte hai...





Top 5 features Money Transfer Android app in India:

1. Bank 2 Bank transfer 
2. UPI
3.Offers 
4 Bill Payments 
5. Online shopping

Top 5 Apps are:


1. TEZ:


Ye aap apne naam kii hii tarah tez hai ye meri list ka pehla app hai Ye google ki appilication hai yahi wajah hai iske itni fast aur secure hone kii.. iss application mein apko paise dalane ki koi zarrorat nhi hai ye paise transfer karne ke waqt paise apne account se nikal kar Dusre ke account mein  bhej deta hai ..iss tarah apke paise iss app se aap paise dusre account mein transfer kar sakte hai kuch second mein.. aap isee money transfer kis kis tarah se kar sakte hai to isme chaar tarrike hai..

1. Bank account or ifsc
2. UPI id 
3. Tez user phone number 
4. QR scan

isme har baar apko ek scratch card milta hai jisse aap kuch na kuch humesha jeetenge..


PhonePay:


Phonepay ek bahut hi achhi aur trusted application hai... ye apko bahut se offers aur suvidha dete hai.. sayad hii aisa koi application jo itni saarii suvidha aur offers deta hai isme aaap shopping karein yaa recharge kuch na kuch offers zarror milta hai..isme money transfer karne ke teen traiike hai..


1. Bank Account or IFSC 
2. BHIM UPI 
3. Phone Pay Contact 

BHIM:


 Ye ek trusted application hai joo National Payments corporation of india Dwara sanchalit kiya jata hai.. Eska pura naam bharat  interface for money hai  jo puri tarah online hai ye aap online transfer ko badhva dene ke liye banya gya hai isme money transfer karne ke 5 tarrike hai...


1. Mobile Number
2. Adhaar
3. UPI id 
4. Bank transfer or IFSC
5. Scan and Pay

4. Paytm:


Paytm ke baare mein aap jante hi honge ye paise online bhejene ke alwa apko shopping recharge jaise dher saree optin deta hai isme paise transfer karne ke 5 tarrike hai..



1. Bank Transfer 
2. Bhim UPI 
3. Wallet to Bank 
4. Mobile 
5. Scan and pay


 

Post a Comment

0 Comments

×
×
×